Best Urdu Ghazals by Haider Ali Aatish | Shab e Wasl Thi, Chandni Ka Samaan Tha

ghazal, urdu ghazal, best urdu ghazals, best ghazal collection, best ghazal sms, urdu sad ghazals
Here is the best collection of Urdu Ghazals by famous poet Haider Ali Aatish. Read one of his best ghazals “Shab e Wasl Thi, Chandni Ka Samaan Tha’ in Urdu with Roman Urdu Ghazal SMS. If you like, please share with your friends as much as possible on social media.

شبِ وصل تھی، چاندنی کا سماں تھا

best urdu poetry
شبِ وصل تھی چاندنی کا سماں تھا
بغل میں صنم تھا خدا مہرباں تھا
مبارک شبِ قدر سے بھی وہ شب تھی
سحر تک مہ و مشتری کا قراں تھا
وہ شب تھی کہ تھی روشنی جس میں دن کی
زمیں پر سے اک نور تا آسماں تھا
نکالے تھے دو چاند اس نے مقابل
وہ شب صبحِ جنت کا جس پر گماں تھا
عروسی کی شب کی حلاوت تھی حاصل
فرح ناک تھی روح دل شادماں تھا
مشاہد جمال پری کی تھی آنکھیں
مکان وصال اک طلسمی مکاں تھا
حضوری نگاہوں کو دیدار سے تھی
کھلا تھا وہ پردہ کہ جو درمیاں تھا
کیا تھا اسے بوسہ بازی نے پیدا
کمر کی طرح سے جو غائب دہاں تھا
حقیقت دکھاتا تھا عشق مجازی
نہاں جس کو سمجھے ہوئے تھے عیاں تھا
بیاں خواب کی طرح جو کر رہا ہے
یہ قصہ ہے جب کا کہ آتشؔ جواں تھا
best urdu poetry

Best Ghazal SMS

Shab e Wasl Thi

Shab e wasl thi, chandni ka samaan tha
Baghal min sanam tha, Khuda mehrban tha
Mubarak Shab e Qadr se bhi wo shab thi
Saher tak mah o mushtri ka qaran tha
Wo shab thi keh thi roshni jis min din ki
Zameen per say ik noor ta asmaan tha
Nikaley thy do chand uss ne muqabil
Wo shab subh-e-jannat ka jis per guman tha
Aroosi ki shab ki halawat thi haasil
Farah naak thi rooh, Dil shad-man tha
Mushahid jamaal pari ki thi aankhen
Makan o saal ik talismi makaan tha
Huzoori nigahoon ko deedar se thi
Khula tha wo parda keh jo darmiyan tha
Kia tha ussy bosa bazi ne paida
Kamar ki tarah se jo ghaib dahan tha
Haqeeqat dikhata tha ishq-e-majazi
Nihaan jis ko samjhy hoey thy, ayan tha
Bayaan khawab ki tarah jo ker raha hi
Ye qissa hi jab ka keh Aatish jawan tha
best urdu poetry

Post a Comment

0 Comments